Bazaar-e-Husn Main Pyaar Nahin Bikta!
Aashiq hain kahin magar parwaanon ki bhi kami nahi,
Diwanon ki behti dhaar aur dil ka aalam bezubani sahi.
Arz-o-sama ghoom liya par fariyad tujh tak jaati nahi,
Ishq ke registan main kyun tu mohabbat barsaati nahi?
Tere bazaar-e-husn main pyaar hargiz nahi bikta hai,
Naadan kabhi na samje tera nafz kiske liye tadapta hai.
Qadam tere rukte nahi jahaan zar se zar khanakta hai
Husn-o-jism ki lau par bhi mann na tera behakta hai!
Rooh-e-ishq ke sweekar par kashish tera chamakta hai
Lafzon ki veena ke suron par aarzoo tera panapta hai
Teri ulfat izhaar-e-ishq ke mele main hi toh jhalakta hai
Tera deen-e-hubb uska ho joh tere rooh ko samajta hai!
No comments:
Post a Comment